Nafas Ambalvi

dhup thi sahra tha lekin jism ka saya na tha

Nafas Ambalvi

Mumbai, Maharashtra, India

1961

dhuup thī sahrā thā lekin jism saaya na thā

aadmī is se ziyāda to kabhī tanhā na thā

khīñchte the apnī jānib regzāroñ ke sarāb

duur tak sahrā meñ lekin aab qatra na thā

ek mub.ham ḳhvāb thā āñkhoñ meñ aur dil meñ junūñ

zehn meñ lekin imārat koī naqsha na thā

bhiiḌ thī bastī meñ lekin maiñ kise pahchāntā

itne logoñ meñ kisī bhī shaḳhs chehra na thā

is qadar shiddat se vo dariyā samundar se milā

ab samundar samundar thā kahīñ dariyā na thā

ghar azmat haa.e jis dīvār se mahfūz thī

ghar ke darvāze pe ab vo TaaT parda na thā

vo ġhazal apnī sajātā thā lahū ke rañg se

phir bhī kahte haiñ 'nafas' us koī pesha na thā

Top Urdushayar.com