Nafas Ambalvi

umr-bhar dard ke rishton ko nibhane se raha

Nafas Ambalvi

Mumbai, Maharashtra, India

1961
umr-bhar dard ke rishtoñ ko nibhāne se rahā
zindagī meñ to tire naaz uThāne se rahā
jab bhī dekhā to kināroñ pe taḌaptā dekhā
ye samundar to mirī pyaas bujhāne se rahā
bas yahī soch ke sar apnā qalam kar Daalā
ab vo ilzām mire sar to lagāne se rahā
is zamāne meñ jahālat se guzar hotī hai
ab hunar se to koī ghar ko chalāne se rahā
ham hī tarkīb kareñ koī ujāloñ ke liye
ab añdherā to charāġhoñ ko jalāne se rahā
vaqt ke marmarīñ patthar pe ġhazal likhtā huuñ
ye ibārat koī mausam to miTāne se rahā
be-ta.alluq to nahīñ umr guzārī hai 'nafas'
rishta-e-ġhair sahī kuchh to zamāne se rahā
Top Urdushayar.com