tum  dhuup  se  na  dhuup  kī  yalġhār  se  bacho
dīvār  girne  vaalī  hai  dīvār  se  bacho
rakh  de  na  kaaT  kar  kahīñ  saare  vajūd  ko
ḳhud-sāḳhta  anāoñ  kī  talvār  se  bacho
vo  dil  kā  TūTnā  to  koī  vāqi.a  na  thā
ab  TuuTe  dil  kī  kirchiyoñ  kī  dhaar  se  bacho
aisā  na  ho  ki  bojh  se  sar  hī  na  uTh  sake
tum  bhiik  meñ  milī  huī  dastār  se  bacho