kaisī  baḳhshish  kā  ye  sāmān  huā  phirtā  hai
shahr  saarā  hī  pareshān  huā  phirtā  hai
kaisā  āshiq  hai  tire  naam  pe  qurbāñ  hai  magar
terī  har  baat  se  anjān  huā  phirtā  hai
ham  ko  jakḌā  hai  yahāñ  jabr  kī  zanjīroñ  ne
ab  to  ye  shahr  hī  zindān  huā  phirtā  hai
shab  ko  shaitān  bhī  māñge  hai  panāheñ  jis  se
sub.h  vo  sāhib-e-īmān  huā  phirtā  hai
jaane  kab  kaun  kise  maar  de  kāfir  kah  ke
shahr  kā  shahr  musalmān  huā  phirtā  hai