ka.ī  zamānoñ  se  mujh  meñ  jo  dard  bikhrā  thā
zarā  sī  umr  meñ  us  ne  kahāñ  simaTnā  thā
nahīñ  gila  jo  mujhe  mil  gayā  hai  ġham  itnā
kabhī  kisī  ne  to  āḳhir  ye  dard  sahnā  thā
lage  the  kāñpne  jallād  ke  jo  dast  o  pā
ajal  se  mil  ke  gale  koī  muskurāyā  thā
ḳhirāj  detā  chalā  aa  rahā  huuñ  nasloñ  se
ye  kis  ġhanīm  ke  hāthoñ  meñ  itnā  haarā  thā
maiñ  kab  kā  TuuT  ke  'haidar'  bikhar  gayā  hotā
ḳhudā  kā  shukr  tire  dard  kā  sahārā  thā