mire  vajūd  meñ  vo  is  tarah  samo  jaa.e
jo  mere  paas  hai  sab  kuchh  usī  kā  ho  jaa.e
abhī  to  aañkh  ke  andar  hai  tairtā  aañsū
Tapak  paḌā  to  na  ghar  hī  kahīñ  Dubo  jaa.e
ḳhushī  mile  bhī  to  ye  dil  udaas  rahtā  hai
bas  ek  ḳhauf  sā  rahtā  hai  kuchh  na  ho  jaa.e
tumheñ  yaqīñ  hai  ki  manzil  hai  do  hī  qadmoñ  par
mujhe  ye  Dar  hai  kahīñ  rāsta  na  kho  jaa.e
tamām  qāfila  ab  jāgtā  hai  is  Dar  se
kahīñ  amiir  na  ġhaflat  kī  niiñd  so  jaa.e
kabhī  to  ḳhvāb  bhī  ta.abīr  pā  sakeñ  apne
ye  dā.eroñ  kā  safar  jo  tamām  ho  jaa.e