nāḳhudā  saḳht  ḳhafā  garche  hamīñ  par  the  bahut
ham  ne  bhī  azm  ke  pahne  hue  zevar  the  bahut
tū  ne  dastak  hī  nahīñ  dī  kisī  darvāze  par
varna  khulne  ko  to  dīvār  meñ  bhī  dar  the  bahut
uḌ  nahīñ  paayā  agarche  ye  fazā  bhī  thī  khulī
mere  andar  se  mujhe  jakḌe  hue  Dar  the  bahut
jiit  terā  hī  muqaddar  thī  so  tū  jiit  gayā
varna  haare  hue  lashkar  meñ  sikandar  the  bahut
ḳhaam  thī  pyaas  tirī  varna  to  is  dasht  meñ  bhī
ek  eḌī  ke  ragaḌne  pe  samundar  the  bahut
chhin  ga.ī  aañkh  se  hairat  ki  tirī  bastī  meñ
har  ghaḌī  rañg  badalte  hue  manzar  the  bahut
vaqt  kī  mauj  hameñ  paar  lagātī  kaise
ham  ne  hī  jism  se  bāñdhe  hue  patthar  the  bahut