band  kar  baiThe  ho  ghar  radd-e-balā  kī  ḳhātir
ek  khiḌkī  to  khulī  rakhte  havā  kī  ḳhātir
bheñT  chaḌhte  rahe  har  daur  meñ  insāñ  kitne
fard-e-vāhid  kī  faqat  jhūTī  anā  kī  ḳhātir
har  zabardast  kā  har  zulm  sahā  hai  maiñ  ne
zindagī  mahz  tirī  hirs-e-baqā  kī  ḳhātir
Dar  jahannam  kā  na  jannat  kī  havas  hai  mujh  ko
sar  jhukāyā  hai  faqat  terī  razā  kī  ḳhātir
maiñ  siyah-baḳht  jise  maar  ke  apnoñ  ne  'jalīl'
ġhair  ko  dosh  diyā  ḳhūn-bahā  kī  ḳhātir