Raza Hamdani

hai ghanimat ye fareb-e-shab-e-wada ai dil

Raza Hamdani

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1910-1994

hai ġhanīmat ye fareb-e-shab-e-va.ada ai dil

kyā koī degā tujhe is se ziyāda ai dil

muddatoñ jaan chhiḌakte rahe jis lams pe vo

oḌh kar aa gayā ḳhushbū labāda ai dil

soch zanjīr-ba-pā fikr hai pāband-e-rasan

kyā yahī sub.h-e-tamannā hai jaada ai dil

ab bhī raushan kiye baiThā hai ummīdoñ ke charāġh

kitnā ma.asūm hai kitnā hai saada ai dil

ḳhuuñ meñ luThḌe hue lāshe haiñ nuqūsh-e-kaf-e-pā

aur kar manzil-e-jānāñ irāda ai dil

ḳhud-farebī fusūñ tujh pe hai kaarī varna

kam nahīñ hai shab-e-ġham se shab-e-va.ada ai dil

Top Urdushayar.com