jaam  to  jaam  mai-e-hosh-rubā  bhī  badlī
saath  hī  rindoñ  ke  piine  kī  adā  bhī  badlī
fasl-e-gul  badlī  sabā  badlī  fazā  bhī  badlī
aap  badle  to  gulistāñ  kī  havā  bhī  badlī
TuuT  jā.egā  yaqīnan  dil-e-mai-ḳhvār  agar
nigah-e-sāqī-e-mai-ḳhāna  zarā  bhī  badlī
bazm-e-yārāñ  meñ  sadā  se  mujhe  pahchāntā  kaun
mere  hālāt  jo  badle  to  sadā  bhī  badlī
aaj  tak  us  ne  to  va.ada  koī  iifā  na  kiyā
jaane  kyā  soch  ke  phir  shart-e-vafā  bhī  badlī
hone  lagtā  hai  kuchh  ehsās  shikast-e-tauba
bāda-ḳhāne  pe  agar  chhā.ī  zarā  bhī  badlī
vaqt  ke  saath  badal  jaatī  hai  har  shai  'ājiz'
aap  to  badle  magar  ḳhū-e-jafā  bhī  badlī