qalam  ho  jaa.e  sar  parvā  na  karnā
amīr-e-shahr  ko  sajda  na  karnā
kiyā  tark-e-ta.alluq  tum  ne  behtar
magar  us  kā  kahīñ  charchā  na  karnā
mujhe  turbat  meñ  az-had  āfiyat  hai
masīhā  ab  mujhe  zinda  na  karnā
baḌhātā  hai  kasal  dūrī-e-manzil
ḳhayāl-e-vus.at-e-sahrā  na  karnā
kaThin  ho  jā.egī  manzil-shanāsī
kabhī  masḳh  un  kā  naqsh-e-pā  na  karnā
mohabbat  meñ  ye  hai  dastūr-e-duniyā
zarā  sī  baat  ko  ifshā  na  karnā
ye  hai  ab  ik  tarīqa  guftugū  kā
kisī  ke  sāmne  lab  vā  na  karnā
tumhāre  muñh  pe  vo  sach  bol  degā
muqābil  apne  ā.īna  na  karnā
munāsib  hai  ki  'ājiz'  tauba  kar  lo
na  taz.hīk-e-mai-o-mai-ḳhāna  karnā