maujūd  haiñ  vo  bhī  bālīñ  par  ab  maut  kā  Talnā  mushkil  hai
ik-tarfa  kashākash  naza.a  meñ  hai  dam  kā  bhī  nikalnā  mushkil  hai
anjāne  meñ  jo  be-rāh  chale  vo  raah  pe  aa  saktā  hai  magar
be-rāh  chale  jo  dānista  bas  us  kā  sambhalnā  mushkil  hai
zāhir  na  sahī  dar-parda  sahī  dushman  bhī  hifāzat  karte  haiñ
kāñTe  hoñ  nigahbāñ  jis  gul  ke  us  gul  kā  masalnā  mushkil  hai
haiñ  ishq  kī  rāheñ  pechīda  manzil  pe  pahuñchnā  sahl  nahīñ
raste  meñ  agar  dil  baiTh  gayā  phir  us  kā  sambhalnā  mushkil  hai
āġhāz-e-mohabbat  meñ  'ājiz'  ruktī  na  thī  mauj-e-ashk-e-ravāñ
anjām  ab  in  ḳhushk  āñkhoñ  se  ik  ashk  nikalnā  mushkil  hai