kyuuñ  kahūñ  koī  qad-āvar  nahīñ  aayā  ab  tak
haañ  mire  qad  ke  barābar  nahīñ  aayā  ab  tak
ek  muddat  se  huuñ  maiñ  sīna-sipar  maidāñ  meñ
hamla-āvar  koī  baḌh  kar  nahīñ  aayā  ab  tak
ye  to  dariyā  haiñ  jo  aape  se  guzar  jaate  haiñ
josh  meñ  varna  samundar  nahīñ  aayā  ab  tak
hoñge  manzil  se  ham-āġhosh  ye  ummīd  bañdhī
rāste  meñ  koī  patthar  nahīñ  aayā  ab  tak
kyā  zamāne  meñ  koī  gosh-bar-āvāz  nahīñ
koī  bhī  dil  kī  sadā  par  nahīñ  aayā  ab  tak
jaane  kyā  baat  hai  saaqī  ki  tirī  mahfil  meñ
jo  gayā  baḌh  vo  palaT  kar  nahīñ  aayā  ab  tak
intihā  ye  hai  ki  pathrā  ga.iiñ  āñkheñ  apnī
sāmne  vo  parī-paikar  nahīñ  aayā  ab  tak
kyā  karishma  hai  dur-e-ashk-e-mohabbat  apnā
sadaf-e-chashm  se  bāhar  nahīñ  aayā  ab  tak
muntazir  huuñ  maiñ  kafan  bāñdh  ke  sar  se  'ājiz'
sāmne  se  koī  ḳhanjar  nahīñ  aayā  ab  tak