yuuñ  tujh  se  duur  duur  rahūñ  ye  sazā  na  de
ab  aur  zinda  rahne  kī  mujh  ko  duā  na  de
ab  ehtiyāt-e-shiddat-e-girya  na  pūchhiye
Dartā  huuñ  maiñ  vo  sun  ke  kahīñ  muskurā  na  de
lo  maiñ  ne  dil  kī  us  se  lagā.ī  to  hai  magar
Dar  hai  ye  sham-e-ġham  kahīñ  dāman  jalā  na  de
kahnā  to  hai  mujhe  bhī  hadīs-e-ġham-e-hayāt
lab  kholne  kī  kaash  ijāzat  zamāna  de
ho  bijliyoñ  kā  mujh  se  jahāñ  par  muqābla
yā-rab  vahīñ  chaman  meñ  mujhe  āshiyāna  de
us  dene  vaale  ke  yahāñ  kis  shai  kī  hai  kamī
tum  māñgne  kī  tarah  jo  māñgo  to  kyā  na  de
hassās  maiñ  bahut  huuñ  na  lag  jaa.e  dil  ko  Thes
mahfil  meñ  muskurā  ke  mujhe  yuuñ  sadā  na  de
maiñ  āshna-e-dard-o-ġham-e-dil  huuñ  chāra-gar
jis  se  ifāqa  ho  mujhe  aisī  davā  na  de
'ājiz'  tamām  umr  maiñ  khātā  rahā  fareb
mujh  ko  mirī  vafāoñ  kā  aisā  sila  na  de