kabhī  ahl-e-mohabbat  yuuñ  na  ḳhauf-e-jism-o-jāñ  karte
agar  shaiḳh-o-barahman  jashn-e-nāqūs-o-azāñ  karte
navāzish  kaash  mujh  par  itnī  mere  mehrbāñ  karte
kabhī  dil  kī  tasallī  ke  liye  bhūle  se  haañ  karte
hamāre  jazba-e-tāmīr  se  hote  agar  vāqif
to  sadiyoñ  barq  ke  sho.ale  tavāf-e-āshiyāñ  karte
fasurda  yuuñ  na  hote  ġhuncha-o-gul  mausam-e-gul  meñ
agar  dil  se  chaman  kī  ābiyārī  bāġhbāñ  karte
naved-e-fasl-e-gul  aate  haiñ  dil  apnā  taḌap  uTThā
asīr-e-ġham  haiñ  varna  ham  bhī  sair-e-gulistāñ  karte
fazā-e-sāhil-e-ummīd  agar  kuchh  raas  aa  jaatī
to  ham  kyuuñ  nazr-e-tūfāñ  kashti-e-umr-e-ravāñ  karte
hameñ  bhī  mil  ga.ī  hotī  sanad  manzil-shanāsī  kī
salīqe  se  agar  taqlīd  mīr-e-kārvāñ  karte
kabhī  bād-e-sabā  ban  kar  kabhī  jārūb-kash  ho  kar
tamannā  thī  musalsal  ham  tavāf-e-āstāñ  karte
thā  chup  rahnā  hī  behtar  un  kī  bazm-e-nāz  meñ  'ājiz'
koī  ġham-āshnā  hotā  to  sharh-e-dāstāñ  karte