hasrateñ  aa  aa  ke  jam.a  ho  rahī  haiñ  dil  ke  paas
kārvāñ  goyā  pahuñchne  vaalā  hai  manzil  ke  paas
biich  meñ  jab  tak  thiiñ  maujeñ  un  meñ  shorish  thī  bahut
intishār  un  meñ  huā  jab  aa  ga.iiñ  sāhil  ke  paas
nazr-e-qātil  jaan  jab  kar  dī  to  baaqī  kyā  rahā
ab  taḌapne  ke  alāva  hai  hī  kyā  bismil  ke  paas
ġharq  kar  deñ  merī  kashtī  phir  ye  maujeñ  dekhnā
hashr  tak  paTkā  kareñgī  apnā  sar  sāhil  ke  paas
bhiik  denā  to  kujā  kaasa  bhī  us  ne  le  liyā
maiñ  ab  ik  hasrat-zada  huuñ  kyā  hai  mujh  saa.il  ke  paas
ek  ham  haiñ  ham  ne  kashtī  Daal  dī  gardāb  meñ
ek  tum  ho  Darte  ho  aate  hue  sāhil  ke  paas
ḳhair  ho  'ājiz'  kahīñ  aisā  na  ho  dil  Duub  jaa.e
ishq  ke  dariyā  meñ  halchal  ho  rahī  hai  dil  ke  paas