har-qadam  marhala-e-sabr-o-razā  ho  jaise
zindagī  mārka-e-karb-o-balā  ho  jaise
yuuñ  guzar  jaate  haiñ  duniyā  se  adam  ke  raahī
rah  meñ  naqsh-e-qadam-e-rāh-numā  ho  jaise
chup  hue  jaate  haiñ  yuuñ  dekh  ke  sūrat  merī
haal  merā  mire  chehre  pe  likhā  ho  jaise
is  tarah  kaaT  rahā  huuñ  maiñ  shab-e-roz-o-hayāt
har-nafas  apne  liye  ek  sazā  ho  jaise
dasht  meñ  jaltī  haiñ  tā-hadd-e-nazar  yuuñ  sham.eñ
sar-e-har-ḳhār  pe  ḳhūn-e-shohadā  ho  jaise
riñd  jhijhke  to  balā-noshoñ  ne  mahsūs  kiyā
mai  nahīñ  jaam  meñ  ḳhūn-e-ġhurabā  ho  jaise
yuuñ  shafaq-rañg  sī  hai  aaj  gulistāñ  kī  zamīñ
barahna-pā  koī  kāñToñ  pe  chalā  ho  jaise
har  zabāñ  par  mire  miTne  ke  haiñ  charche  lekin
un  ke  nazdīk  to  kuchh  bhī  na  huā  ho  jaise
aaj  is  andāz  se  aa.ī  mujhe  hichkī  'ājiz'
bhūlne  vaale  ne  phir  yaad  kiyā  ho  jaise