kaun  kahtā  hai  ġham  musībat  hai
ye  bhī  maulā  kī  ḳhaas  rahmat  hai
log  kyuuñ  zindagī  pe  marte  haiñ
mere  haq  meñ  to  ye  qayāmat  hai
hīla-jūī  hai  us  kī  rahmat  kī
kab  ibādat  koī  ibādat  hai
shukr  ne.amat  kā  jab  nahīñ  kartā
kyuuñ  musībat  kī  phir  shikāyat  hai
mujh  se  bad-tar  bahut  haiñ  aalam  meñ
qābil-e-rashk  merī  hālat  hai
qalb-e-momin  na  ġham  se  ghabrā.e
sunte  haiñ  ba.ad-e-rañj  rāhat  hai
mujh  se  hotī  nahīñ  ġhazal  'nādir'
is  qadar  muzmahil  tabī.at  hai