mire  miTne  pe  gar  tū  bhī  miTā  hotā  to  kyā  hotā
tujhe  bhī  sabr  ai  dil  aa  gayā  hotā  to  kyā  hotā
chale  aate  haiñ  lākhoñ  sarfaroshī  kī  tamannā  meñ
tirā  kūcha  agar  dārushshifā  hotā  to  kyā  hotā
adam  se  maiñ  na  aatā  is  jahāñ  meñ  ġham  uThāne  ko
agar  hastī  mujhe  terā  patā  hotā  to  kyā  hotā
tujhī  pe  munsifī  hai  le  tū  hī  insāf  se  kah  de
agar  terī  tarah  maiñ  bevafā  hotā  to  kyā  hotā
sitāre  kyuuñ  dikhātī  mujh  ko  din  bhar  merī  nākāmī
vo  shab  ko  mal  ke  afshāñ  aa  gayā  hotā  to  kyā  hotā
sar-e-shorīda  ko  maiñ  pattharoñ  se  phoḌtā  phirtā
but-e-kāfir  jo  tū  merā  ḳhudā  hotā  to  kyā  hotā
sabāt  us  ko  nahīñ  phir  bhī  fidā  hai  hazrat-e-insāñ
jo  ye  dār-e-fanā  dār-e-baqā  hotā  to  kyā  hotā
kisī  ke  paas  rah  kar  bhī  taḌapte  hijr  meñ  'nādir'
hameñ  jannat  meñ  bhī  kuchh  aasrā  hotā  to  kyā  hotā