luT  gayā  dil  kahāñ  nahīñ  ma.alūm
kyā  huā  hai  ziyāñ  nahīñ  ma.alūm
ab  qafas  meñ  hī  rahne  de  sayyād
thā  kahāñ  āshiyāñ  nahīñ  ma.alūm
tū  hī  aa  kar  sikhā  de  o  bulbul
mujh  ko  tarz-e-fuġhāñ  nahīñ  ma.alūm
aap  hī  se  faqat  hai  dilchaspī
aur  dilchaspiyāñ  nahīñ  ma.alūm
vaa.e  taqdīr  kyā  qayāmat  hai
jaa.e  dard-e-nihāñ  nahīñ  ma.alūm
yaad  hone  lagī  kahāñ  apnī
aa.iiñ  kyuuñ  hichkiyāñ  nahīñ  ma.alūm
mujh  ko  terī  kahānī  aatī  hai
aur  koī  dāstāñ  nahīñ  ma.alūm
maiñ  azal  se  fidā.ī  huuñ  jis  kā
us  kā  nām-o-nishāñ  nahīñ  ma.alūm
pairav-e-'mīr'  huuñ  maiñ''  ai  'nādir'
ġhair  ko  ye  zabāñ  nahīñ  ma.alūm