ham  un  ke  ġham  meñ  taḌap  rahe  haiñ  jo  ġhair  se  dil  lagā  chuke  haiñ
hamāre  dil  meñ  hai  yaad  un  kī  jo  ham  ko  dil  se  bhulā  chuke  haiñ
balā-e-mahshar  bhī  sahal  un  ko  azāb-e-dozaḳh  bhī  un  ko  āsāñ
jo  terī  ulfat  meñ  apne  dil  par  ġham-e-judā.ī  uThā  chuke  haiñ
adū  se  jā  kar  karo  ye  bāteñ  vahīñ  guzāro  tum  apnī  rāteñ
tumhārī  bātoñ  meñ  aa  chuke  ham  tumheñ  bahut  aazmā  chuke  haiñ
agar  na  aa.eñ  nazar  na  aa.eñ  nahīñ  hai  kuchh  bhī  ḳhayāl  is  kā
kahāñ  vo  jā.eñge  muñh  chhupā  kar  hamāre  dil  meñ  jab  aa  chuke  haiñ
ye  kyā  qayāmat  hai  yā  ilāhī  ki  un  kī  aamad  kā  haal  sun  kar
shakeb-o-sabr-o-qarār  hosh-o-havās  pahle  hī  jā  chuke  haiñ
ḳhayāl  kuchh  bhī  nahīñ  hai  tujh  ko  but-e-parīvash  hamārā  ham  to
tirī  mohabbat  meñ  naqd-e-jān-o-dil-o-jigar  bhī  luTā  chuke  haiñ
butoñ  ko  denā  na  bhuul  kar  dil  na  un  pe  honā  zarā  bhī  maa.il
nahīñ  hai  juz  rañj  un  se  hāsil  tujhe  ye  'nādir'  jatā  chuke  haiñ