kiye  qarār  magar  be-qarār  hī  rakkhā
hameñ  to  aap  ne  ummīd-vār  hī  rakkhā
pas-e-fanā  bhī  falak  ne  ġhubār  hī  rakkhā
na  rakkhī  ḳhaak  na  sañg-e-mazār  hī  rakkhā
kisī  ke  dard-e-judā.ī  ne  ham  ko  jiite  jī
misāl-e-abr-e-siyah  ashk-bār  hī  rakkhā
maiñ  teġh-e-yār  kā  kyuuñ  kar  na  dam  bharūñ  jis  ne
maze  ḳhalish  ke  diye  dil-figār  hī  rakkhā
milā  na  chain  kabhī  ham  ko  ḳhaak  ho  kar  bhī
falak  ne  dosh-e-sabā  par  savār  hī  rakkhā
ḳhayāl-e-āriz-e-rañgīñ  ne  roz  aa  aa  kar
ḳhizāñ  meñ  bhī  hameñ  mahv-e-bahār  hī  rakkhā
kisī  kī  chashm-e-mukayyaf  ne  kiyā  kahīñ  'nādir'
tamām  umr  hameñ  bāda-ḳhvār  hī  rakkhā