zindagī  apnī  kāmyāb  nahīñ
ġham-e-daurāñ  kā  kuchh  hisāb  nahīñ
dard  jis  meñ  na  ho  vo  dil  kaisā
naaz  jis  meñ  na  ho  shabāb  nahīñ
mauj-e-dariyā  ko  chāhiye  tezī
jo  uThā.e  na  sar  habāb  nahīñ
dost  terī  harīm-e-aqdas  meñ
ek  banda  hī  bāryāb  nahīñ
ḳhvāb-e-marg  aa.egā  zarūr  ik  din
ye  haqīqat  hai  koī  ḳhvāb  nahīñ
tere  bāb-e-qubūl  par  yārab
arz  merī  hī  mustajāb  nahīñ
kaam  ye  lā  javāb  karte  ho
mere  ḳhat  kā  koī  javāb  nahīñ
mere  jurmoñ  kā  kuchh  hisāb  to  hai
tere  hī  rahm  kā  hisāb  nahīñ
kyā  karūñ  terī  diid  kī  hasrat
jab  mujhe  dekhne  kī  taab  nahīñ
dekh  gahrī  nazar  se  dariyā  ko
koī  aisī  khulī  kitāb  nahīñ
tujh  se  bekas  haiñ  saikḌoñ  'nādir'
zer-e-gardūñ  tū  hī  ḳharāb  nahīñ