lagtā  nahīñ  kahīñ  bhī  mirā  dil  tire  baġhair
donoñ  jahāñ  nahīñ  mire  qābil  tire  baġhair
kuchh  lutf-e-zindagī  nahīñ  hāsil  tire  baġhair
pal  bhar  guzārnā  bhī  hai  mushkil  tire  baġhair
tū  hī  nahīñ  to  kaun  kare  merī  rahbarī
kaTtī  nahīñ  hayāt  kī  manzil  tire  baġhair
dil  par  mire  hī  shaaq  nahīñ  hai  tirā  firāq
ḳhāmosh  haiñ  chaman  meñ  anādil  tire  baġhair
phūloñ  ke  ibtisām  pe  aatī  hai  ab  hañsī
aisā  bujhā  huā  hai  mirā  dil  tire  baġhair
hosh-o-havās-o-aql-o-ḳhirad  de  ga.e  javāb
yaanī  nahīñ  huuñ  maiñ  kisī  qābil  tire  baġhair
har  dam  ye  soch  hai  mire  jiine  se  fā.eda
jab  maqsad-e-hayāt  hai  bātil  tire  baġhair
takmīl-e-ārzū  se  hai  takmīl-e-zindagī
kyūñkar  ho  zindagī  mirī  kāmil  tire  baġhair
kashtī  nikal  to  aa.ī  hai  gardāb  se  magar
dil  Dūbne  lagā  lab-e-sāhil  tire  baġhair
har  dam  taḌap  ke  loTtā  phirtā  huuñ  ḳhaak  par
goyā  banā  huuñ  tā.ir-e-bismil  tire  baġhair
āñkheñ  hī  pahle  rotī  thiiñ  ab  to  ye  qahr  hai
rone  lagā  hai  ḳhuun  mirā  dil  tire  baġhair
'nādir'  ko  jaan  dene  se  kyuuñ  roktā  hai  tū
jiine  se  bhī  hai  kyā  use  hāsil  tire  baġhair