māñgnā  kaam  mujh  savālī  kā
baḳhshnā  terī  zāt-e-ālī  kā
kyuuñ  girāyā  hai  apnī  nazroñ  se
hukm  kar  de  mirī  bahālī  kā
tū  hī  vo  phuul  hai  jo  hai  mahbūb
patte  patte  kā  Daalī  Daalī  kā
baat  jo  bhī  kaho  vo  saaf  kaho
kaam  kiyā  fazl-e-ehtimālī  kā
jal  bujhūñgā  bhaḌak  ke  dam  bhar  meñ
maiñ  huuñ  goyā  diyā  divālī  kā
'nādir'  aisā  kalām  hai  merā
saad  hai  jis  pe  lā-zavālī  kā