hālāt  ke  kohna  dar-o-dīvār  se  nikleñ
duniyā  ko  badalnā  hai  to  ghar-bār  se  nikleñ
nākām  sadāoñ  ke  haiñ  aaseb  yahāñ  par
is  dasht-e-tamannā  se  to  raftār  se  nikleñ
jin  meñ  ho  mohabbat  kā  uḳhuvvat  kā  ishāra
paiġhām  kuchh  aise  bhī  to  aḳhbār  se  nikleñ
duniyā  bhī  to  ban  saktī  hai  jannat  kā  namūna
ham  apnī  anā  apne  hī  pindār  se  nikleñ
jo  haqq-o-sadāqat  kā  sabaq  bhuul  ga.e  haiñ
vo  kaise  bhalā  vaqt  ke  āzār  se  nikleñ
ham  ne  bhī  bahāroñ  ko  lahū  apnā  diyā  hai
ab  ham  se  hī  kahte  ho  ki  gulzār  se  nikleñ
is  darja  taġhāful  hai  to  ham  ne  bhī  ye  sochā
ummīd-e-karam  hasrat-e-dīdār  se  nikleñ
har  ek  qadam  par  hai  yahāñ  jaan  kā  ḳhatra
ab  soch  samajh  kar  zarā  bāzār  se  nikleñ
aage  hī  nikalnā  hai  jo  'shāyān'  se  un  ko
aḳhlāq  se  a.amāl  se  kirdār  se  nikleñ