Shayan  Quraishi

rah-e-wafa mein saya-e-diwar-o-dar bhi hai

Shayan Quraishi

rāh-e-vafā meñ sāya-e-dīvār-o-dar bhī hai

lekin usī pe jaan se jaane Dar bhī hai

vaqfa hai zindagī to faqat chand roz

phir shahr-e-rañg-o-bū taraf ik safar bhī hai

raushan rakho charāġh lahū se tamām shab

har raat ke nasīb meñ āḳhir sahar bhī hai

kirdār dekhne rivāyat nahīñ rahī

ab aadmī ye dekhtā hai māl-o-zar bhī hai

sun to rahe ho baat yuuñ vaa.iz ġhaur se

lekin yaqīn us kisī baat par bhī hai

dāmān-e-gul-ruḳhāñ tamannā bhī dosto

kitnā hasīn ḳhvāb hai tum ko ḳhabar bhī hai

merā bayān-e-shauq bhalā rā.egāñ ho kyuuñ

tahrīr meñ nihāñ mirā ḳhūn-e-jigar bhī hai

yuuñ to koī aziiz haiñ aur dost bhī magar

'shāyān' ye batāo koī mo'atabar bhī hai

Top Urdushayar.com