bāham  sulūk-e-ḳhās  kā  ik  silsila  bhī  hai
vo  kaun  saath  saath  hai  lekin  judā  bhī  hai
barg-e-ḳhizāñ  kī  zard  sī  tahrīr  hai  magar
dast-e-shafaq  meñ  phuul  sunahrā  khilā  bhī  hai
īthar  kī  dhund  meñ  haiñ  ga.e  mausamoñ  ke  naqsh
ik  haath  piiTh  par  hai  diyā  ik  jalā  bhī  hai
afkār  jaise  shaḳhs  barahna  nagar  ke  haiñ!
alfāz  ajnabī  ki  nayā  nāravā  bhī  hai
paanī  meñ  ik  charāġh  kī  lau  nam  gudāz  surḳh
paanī  meñ  koī  aks  ajab  zard  sā  bhī  hai
ik  nashsha!  dhūp!  ḳhvāb!  shafaq!  chāñdnī!  sarāb
khiḌkī  gumāñ  kii!  sāmne  manzar  nayā  bhī  hai
aao  banā.eñ  kashtiyāñ  kāġhaz  kī  chal  ke  raaz
purvā  chalī  hai  jhuum  ke  bādal  uThā  bhī  hai