Seema Ghazal

barish thi aur abr tha dariya tha aur bas

Seema Ghazal

Lahore, Punjab, Pakistan

1964

bārish thī aur abr thā dariyā thā aur bas

jaagī to mere sāmne sahrā thā aur bas

aayā thā ḳhayāl ki phir dhuup Dhal ga.ī

bādal tumhārī yaad barsā thā aur bas

aisā bhī intizār nahīñ thā ki mar ga.e

haañ ik diyā darīche meñ rakkhā thā aur bas

tum the na koī aur thā aahaT na koī chaap

maiñ thī udaas dhuup thī rasta thā aur bas

yuuñ to paḌe rahe mire pairoñ meñ māh-o-sāl

muTThī meñ merī ek lamha thā aur bas

Top Urdushayar.com