Allama Iqbal

taza phir danish-e-hazir ne kiya sehr-e-qadim

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938

taaza phir dānish-e-hāzir ne kiyā sehr-e-qadīm

guzar is ahd meñ mumkin nahīñ be-chob-e-kalīm

aql ayyār hai sau bhes banā letī hai

ishq bechāra na mullā hai na zāhid na hakīm

aish-e-manzil hai ġharībān-e-mohabbat pe harām

sab musāfir haiñ ba-zāhir nazar aate haiñ muqīm

hai garāñ-sair ġham-e-rāhila-o-zād se

koh o dariyā se guzar sakte haiñ mānind-e-nasīm

mard-e-darvesh sarmāya hai āzādī o marg

hai kisī aur ḳhātir ye nisāb-e-zar-o-sīm

Top Urdushayar.com