na  taḳht-o-tāj  meñ  ne  lashkar-o-sipāh  meñ  hai
jo  baat  mard-e-qalandar  kī  bārgāh  meñ  hai
sanam-kada  hai  jahāñ  aur  mard-e-haq  hai  ḳhalīl
ye  nukta  vo  hai  ki  poshīda  lā-ilāh  meñ  hai
vahī  jahāñ  hai  tirā  jis  ko  tū  kare  paidā
ye  sañg-o-ḳhisht  nahīñ  jo  tirī  nigāh  meñ  hai
mah  o  sitāra  se  aage  maqām  hai  jis  kā
vo  musht-e-ḳhāk  abhī  āvārgān-e-rāh  meñ  hai
ḳhabar  milī  hai  ḳhudāyān-e-bahr-o-bar  se  mujhe
farañg  rahguzar-e-sail-e-be-panāh  meñ  hai
talāsh  us  kī  fazāoñ  meñ  kar  nasīb  apnā
jahān-e-tāza  mirī  āh-e-sub.h-gāh  meñ  hai
mire  kadū  ko  ġhanīmat  samajh  ki  bāda-e-nāb
na  madrase  meñ  hai  baaqī  na  ḳhānqāh  meñ  hai