Allama Iqbal

na taKHt-o-taj mein ne lashkar-o-sipah mein hai

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
na taḳht-o-tāj meñ ne lashkar-o-sipāh meñ hai
jo baat mard-e-qalandar kī bārgāh meñ hai
sanam-kada hai jahāñ aur mard-e-haq hai ḳhalīl
ye nukta vo hai ki poshīda lā-ilāh meñ hai
vahī jahāñ hai tirā jis ko tū kare paidā
ye sañg-o-ḳhisht nahīñ jo tirī nigāh meñ hai
mah o sitāra se aage maqām hai jis kā
vo musht-e-ḳhāk abhī āvārgān-e-rāh meñ hai
ḳhabar milī hai ḳhudāyān-e-bahr-o-bar se mujhe
farañg rahguzar-e-sail-e-be-panāh meñ hai
talāsh us kī fazāoñ meñ kar nasīb apnā
jahān-e-tāza mirī āh-e-sub.h-gāh meñ hai
mire kadū ko ġhanīmat samajh ki bāda-e-nāb
na madrase meñ hai baaqī na ḳhānqāh meñ hai
Top Urdushayar.com