Allama Iqbal

zamana aaya hai be-hijabi ka aam didar-e-yar hoga

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
zamāna aayā hai be-hijābī kā aam dīdār-e-yār hogā
sukūt thā parda-dār jis kā vo raaz ab āshkār hogā
guzar gayā ab vo daur saaqī ki chhup ke piite the piine vaale
banegā saarā jahān mai-ḳhāna har koī bāda-ḳhvār hogā
kabhī jo āvāra-e-junūñ the vo bastiyoñ meñ aa baseñge
barahna-pā.ī vahī rahegī magar nayā ḳhār-zār hogā
sunā diyā gosh muntazir ko hijāz kī ḳhāmushī ne āḳhir
jo ahd sahrā.iyoñ se bāñdhā gayā thā par ustuvār hogā
nikal ke sahrā se jis ne ruumā kī saltanat ko ulaT diyā thā
sunā hai ye qudsiyoñ se maiñ ne vo sher phir hoshiyār hogā
kiyā mirā tazkira jo saaqī ne bāda-ḳhvāroñ kī anjuman meñ
to piir mai-ḳhāna sun ke kahne lagā ki muñh phaT hai ḳhaar hogā
dayār maġhrib ke rahne vaalo ḳhudā kī bastī dukāñ nahīñ hai
kharā hai jise tum samajh rahe ho vo ab zar kam-ayār hogā
tumhārī tahzīb apne ḳhanjar se aap hī ḳhud-kushī karegī
jo shāḳh-e-nāzuk pe āshiyāna banegā nā-pā.edār hogā
safīna-e-barg-e-gul banā legā qāfila mor-e-nā-tavāñ kā
hazār maujoñ kī ho kashākash magar ye dariyā se paar hogā
chaman meñ laala dikhātā phirtā hai daaġh apnā kalī kalī ko
ye jāntā hai ki is dikhāve se dil jaloñ meñ shumār hogā
jo ek thā ai nigāh tū ne hazār kar ke hameñ dikhāyā
yahī agar kaifiyat hai terī to phir kise e'tibār hogā
kahā jo qamrī se maiñ ne ik din yahāñ ke āzād pāgal haiñ
to ġhunche kahne lage hamāre chaman kā ye rāzdār hogā
ḳhudā ke āshiq to haiñ hazāroñ banoñ meñ phirte haiñ maare maare
maiñ us kā banda banūñgā jis ko ḳhudā ke bandoñ se pyaar hogā
ye rasm barham fanā hai ai dil gunāh hai jumbish nazar bhī
rahegī kyā aabrū hamārī jo tū yahāñ be-qarār hogā
maiñ zulmat-e-shab meñ le ke niklūñgā apne darmāñda kārvāñ ko
shah nishāñ hogī aah merī nafas mirā sho.ala baar hogā
nahīñ hai ġhair az numūd kuchh bhī jo mudda.ā terī zindagī kā
tū ik nafas meñ jahāñ se miTnā tujhe misāl sharār hogā
na pūchh iqbāl kā Thikāna abhī vahī kaifiyat hai us kī
kahīñ sar-e-rāh-guzār baiThā sitam-kash intizār hogā
Top Urdushayar.com