jab  ishq  sikhātā  hai  ādāb-e-ḳhud-āgāhī
khulte  haiñ  ġhulāmoñ  par  asrār-e-shahanshāhī
'attār'  ho  'rūmī'  ho  'rāzī'  ho  'ġhazālī'  ho
kuchh  haath  nahīñ  aatā  be-āh-e-sahar-gāhī
naumīd  na  ho  in  se  ai  rahbar-e-farzāna
kam-kosh  to  haiñ  lekin  be-zauq  nahīñ  raahī
ai  tā.ir-e-lāhautī  us  rizq  se  maut  achchhī
jis  rizq  se  aatī  ho  parvāz  meñ  kotāhī
daarā  o  sikandar  se  vo  mard-e-faqīr  aulā
ho  jis  kī  faqīrī  meñ  bū-e-asadul-lāhaī
ā.īn-e-javāñ-mardāñ  haq-goī  o  be-bākī
allāh  ke  sheroñ  ko  aatī  nahīñ  rūbāhī