ālam-e-āb-o-ḳhāk-o-bād  sirr-e-ayāñ  hai  tū  ki  maiñ
vo  jo  nazar  se  hai  nihāñ  us  kā  jahāñ  hai  tū  ki  maiñ
vo  shab-e-dard-o-soz-o-ġham  kahte  haiñ  zindagī  jise
us  kī  sahar  hai  tū  ki  maiñ  us  kī  azaañ  hai  tū  ki  maiñ
kis  kī  numūd  ke  liye  shaam  o  sahar  haiñ  garm-e-sair
shāna-e-rozgār  par  bār-e-girāñ  hai  tū  ki  maiñ
tū  kaf-e-ḳhāk  o  be-basar  maiñ  kaf-e-ḳhāk  o  ḳhud-nigar
kisht-e-vajūd  ke  liye  āb-e-ravāñ  hai  tū  ki  maiñ