miTā  diyā  mire  saaqī  ne  ālam-e-man-o-tū
pilā  ke  mujh  ko  mai-e-la-ilāha-illa-hū
na  mai  na  sher  na  saaqī  na  shor-e-chañg-o-rabāb
sukūt-e-koh  o  lab-e-jū  va  lāla-e-ḳhud-rū
gadā-e-mai-kada  kī  shān-e-be-niyāzī  dekh
pahuñch  ke  chashma-e-haivāñ  pe  toḌtā  hai  subū
mirā  sabūcha  ġhanīmat  hai  is  zamāne  meñ
ki  ḳhānqāh  meñ  ḳhālī  haiñ  sūfiyoñ  ke  kadū
maiñ  nau-niyāz  huuñ  mujh  se  hijāb  hī  aulā
ki  dil  se  baḌh  ke  hai  merī  nigāh  be-qābū
agarche  bahr  kī  maujoñ  meñ  hai  maqām  is  kā
safā-e-pāki-e-tīnat  se  hai  guhar  kā  vuzū
jamīl-tar  haiñ  gul  o  laala  faiz  se  is  ke
nigāh-e-shā.ir-e-rañgīñ-navā  meñ  hai  jaadū