nigāh-e-faqr  meñ  shān-e-sikandarī  kyā  hai
ḳhirāj  kī  jo  gadā  ho  vo  qaisarī  kyā  hai
butoñ  se  tujh  ko  umīdeñ  ḳhudā  se  naumīdī
mujhe  batā  to  sahī  aur  kāfirī  kyā  hai
falak  ne  un  ko  atā  kī  hai  ḳhvājgī  ki  jinheñ
ḳhabar  nahīñ  ravish-e-banda-parvarī  kyā  hai
faqat  nigāh  se  hotā  hai  faisla  dil  kā
na  ho  nigāh  meñ  shoḳhī  to  dilbarī  kyā  hai
isī  ḳhatā  se  itāb-e-mulūk  hai  mujh  par
ki  jāntā  huuñ  ma.āl-e-sikandarī  kyā  hai
kise  nahīñ  hai  tamannā-e-sarvarī  lekin
ḳhudī  kī  maut  ho  jis  meñ  vo  sarvarī  kyā  hai
ḳhush  aa  ga.ī  hai  jahāñ  ko  qalandarī  merī
vagarna  sher  mirā  kyā  hai  shā.irī  kyā  hai