digar-gūñ  hai  jahāñ  tāroñ  kī  gardish  tez  hai  saaqī
dil-e-har-zarra  meñ  ġhauġhā-e-rustā-ḳhez  hai  saaqī
matā-e-dīn-o-dānish  luT  ga.ī  allāh-vāloñ  kī
ye  kis  kāfir-adā  kā  ġhamza-e-ḳhūñ-rez  hai  saaqī
vahī  derīna  bīmārī  vahī  nā-mohkamī  dil  kī
ilaaj  is  kā  vahī  āb-e-nashāt-añgez  hai  saaqī
haram  ke  dil  meñ  soz-e-ārzū  paidā  nahīñ  hotā
ki  paidā.ī  tirī  ab  tak  hijāb-āmez  hai  saaqī
na  uTThā  phir  koī  'rūmī'  ajam  ke  lāla-zāroñ  se
vahī  āb-o-gil-e-īrāñ  vahī  tabrez  hai  saaqī
nahīñ  hai  nā-umīd  'iqbāl'  apnī  kisht-e-vīrāñ  se
zarā  nam  ho  to  ye  miTTī  bahut  zarḳhez  hai  saaqī
faqīr-e-rāh  ko  baḳhshe  ga.e  asrār-e-sultānī
bahā  merī  navā  kī  daulat-e-parvez  hai  saaqī