anokhī  vaz.a  hai  saare  zamāne  se  nirāle  haiñ
ye  āshiq  kaun  sī  bastī  ke  yā-rab  rahne  vaale  haiñ
ilāj-e-dard  meñ  bhī  dard  kī  lazzat  pe  martā  huuñ
jo  the  chhāloñ  meñ  kāñTe  nok-e-sozan  se  nikāle  haiñ
phalā-phūlā  rahe  yā-rab  chaman  merī  umīdoñ  kā
jigar  kā  ḳhuun  de  de  kar  ye  buuTe  maiñ  ne  paale  haiñ
rulātī  hai  mujhe  rātoñ  ko  ḳhāmoshī  sitāroñ  kī
nirālā  ishq  hai  merā  nirāle  mere  naale  haiñ
na  pūchho  mujh  se  lazzat  ḳhānamāñ-barbād  rahne  kī
nasheman  saikḌoñ  maiñ  ne  banā  kar  phūñk  Daale  haiñ