aql  go  āstāñ  se  duur  nahīñ
us  kī  taqdīr  meñ  huzūr  nahīñ
dil-e-bīnā  bhī  kar  ḳhudā  se  talab
aañkh  kā  nuur  dil  kā  nuur  nahīñ
ilm  meñ  bhī  surūr  hai  lekin
ye  vo  jannat  hai  jis  meñ  huur  nahīñ
kyā  ġhazab  hai  ki  is  zamāne  meñ
ek  bhī  sāhib-e-surūr  nahīñ
ik  junūñ  hai  ki  bā-shu.ūr  bhī  hai
ik  junūñ  hai  ki  bā-shu.ūr  nahīñ
nā-subūrī  hai  zindagī  dil  kī
aah  vo  dil  ki  nā-subūr  nahīñ
be-huzūrī  hai  terī  maut  kā  raaz
zinda  ho  tū  to  be-huzūr  nahīñ
har  guhar  ne  sadaf  ko  toḌ  diyā
tū  hī  āmāda-e-zuhūr  nahīñ
arinī  maiñ  bhī  kah  rahā  huuñ  magar
ye  hadīs-e-kalīm-o-tūr  nahīñ