thā  jahāñ  madrasa-e-shīrī-o-shāhanshāhī
aaj  in  ḳhānqahoñ  meñ  hai  faqat  rūbāhī
nazar  aa.ī  na  mujhe  qāfila-sālāroñ  meñ
vo  shabānī  ki  hai  tamhīd-e-kalīmul-lāhī
lazzat-e-naġhma  kahāñ  murġh-e-ḳhush-alhāñ  ke  liye
aah  us  baaġh  meñ  kartā  hai  nafas  kotāhī
ek  sarmastī  o  hairat  hai  sarāpā  tārīk
ek  sarmastī  o  hairat  hai  tamām  āgāhī
sifat-e-barq  chamaktā  hai  mirā  fikr-e-buland
ki  bhaTakte  na  phireñ  zulmat-e-shab  meñ  raahī