majnūñ  ne  shahr  chhoḌā  to  sahrā  bhī  chhoḌ  de
nazzāre  kī  havas  ho  to  lailā  bhī  chhoḌ  de
vaa.iz  kamāl-e-tark  se  miltī  hai  yaañ  murād
duniyā  jo  chhoḌ  dī  hai  to  uqbā  bhī  chhoḌ  de
taqlīd  kī  ravish  se  to  behtar  hai  ḳhud-kushī
rasta  bhī  DhūñD  ḳhizr  kā  saudā  bhī  chhoḌ  de
mānind-e-ḳhāma  terī  zabāñ  par  hai  harf-e-ġhair
begāna  shai  pe  nāzish-e-bejā  bhī  chhoḌ  de
lutf-e-kalām  kyā  jo  na  ho  dil  meñ  dard-e-ishq
bismil  nahīñ  hai  tū  to  taḌapnā  bhī  chhoḌ  de
shabnam  kī  tarah  phūloñ  pe  ro  aur  chaman  se  chal
is  baaġh  meñ  qayām  kā  saudā  bhī  chhoḌ  de
hai  āshiqī  meñ  rasm  alag  sab  se  baiThnā
but-ḳhāna  bhī  haram  bhī  kalīsā  bhī  chhoḌ  de
saudā-garī  nahīñ  ye  ibādat  ḳhudā  kī  hai
ai  be-ḳhabar  jazā  kī  tamannā  bhī  chhoḌ  de
achchhā  hai  dil  ke  saath  rahe  pāsbān-e-aql
lekin  kabhī  kabhī  ise  tanhā  bhī  chhoḌ  de
jiinā  vo  kyā  jo  ho  nafas-e-ġhair  par  madār
shohrat  kī  zindagī  kā  bharosā  bhī  chhoḌ  de
shoḳhī  sī  hai  savāl-e-mukarrar  meñ  ai  kalīm
shart-e-razā  ye  hai  ki  taqāzā  bhī  chhoḌ  de
vaa.iz  subūt  laa.e  jo  mai  ke  javāz  meñ
'iqbāl'  ko  ye  zid  hai  ki  piinā  bhī  chhoḌ  de