musalmāñ  ke  lahū  meñ  hai  salīqa  dil-navāzī  kā
muravvat  husn-e-ālam-gīr  hai  mardān-e-ġhāzī  kā
shikāyat  hai  mujhe  yā  rab  ḳhudāvañdān-e-maktab  se
sabaq  shāhīñ  bachchoñ  ko  de  rahe  haiñ  ḳhāk-bāzī  kā
bahut  muddat  ke  naḳhchīroñ  kā  andāz-e-nigah  badlā
ki  maiñ  ne  faash  kar  Daalā  tarīqa  shāh-bāzī  kā
qalandar  juz  do  harf-e-lā-ilāh  kuchh  bhī  nahīñ  rakhtā
faqīh-e-shahr  qārūñ  hai  luġhat-hā-e-hijāzī  kā
hadīs-e-bāda-o-mīnā-o-jām  aatī  nahīñ  mujh  ko
na  kar  ḳhārā-shigāfoñ  se  taqāzā  shīsha-sāzī  kā
kahāñ  se  tū  ne  ai  'iqbāl'  sīkhī  hai  ye  darveshī
ki  charchā  pādshāhoñ  meñ  hai  terī  be-niyāzī  kā