vo  harf-e-rāz  ki  mujh  ko  sikhā  gayā  hai  junūñ
ḳhudā  mujhe  nafas-e-jabra.īl  de  to  kahūñ
sitāra  kyā  mirī  taqdīr  kī  ḳhabar  degā
vo  ḳhud  farāḳhi-e-aflāk  meñ  hai  ḳhvār  o  zubūñ
hayāt  kyā  hai  ḳhayāl  o  nazar  kī  majzūbī
ḳhudī  kī  maut  hai  andesha-hā-e-gūnā-gūñ
ajab  maza  hai  mujhe  lazzat-e-ḳhudī  de  kar
vo  chāhte  haiñ  ki  maiñ  apne  aap  meñ  na  rahūñ
zamīr-e-pāk  o  nigāh-e-buland  o  masti-e-shauq
na  māl-o-daulat-e-qārūñ  na  fikr-e-aflātūñ
sabaq  milā  hai  ye  merāj-e-mustafā  se  mujhe
ki  ālam-e-basharīyat  kī  zad  meñ  hai  gardūñ
ye  kā.enāt  abhī  nā-tamām  hai  shāyad
ki  aa  rahī  hai  damādam  sadā-e-kun-fayakūñ
ilaaj  ātish-e-'rūmī'  ke  soz  meñ  hai  tirā
tirī  ḳhirad  pe  hai  ġhālib  firañgiyoñ  kā  fusūñ
usī  ke  faiz  se  merī  nigāh  hai  raushan
usī  ke  faiz  se  mere  subū  meñ  hai  jehūñ