Allama Iqbal

har shai musafir har chiz rahi

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
har shai musāfir har chiiz raahī
kyā chāñd taare kyā murġh o maahī
tū mard-e-maidāñ tū mīr-e-lashkar
nuurī huzūrī tere sipāhī
kuchh qadr apnī tū ne na jaanī
ye be-savādī ye kam-nigāhī
duniyā-e-dūñ kī kab tak ġhulāmī
yā rāhebī kar yā pādshāhī
pīr-e-haram ko dekhā hai maiñ ne
kirdār-e-be-soz guftār vaahī
Top Urdushayar.com