ḳhirad  ke  paas  ḳhabar  ke  sivā  kuchh  aur  nahīñ
tirā  ilaaj  nazar  ke  sivā  kuchh  aur  nahīñ
har  ik  maqām  se  aage  maqām  hai  terā
hayāt  zauq-e-safar  ke  sivā  kuchh  aur  nahīñ
girāñ-bahā  hai  to  hifz-e-ḳhudī  se  hai  varna
guhar  meñ  āb-e-guhar  ke  sivā  kuchh  aur  nahīñ
ragoñ  meñ  gardish-e-ḳhūñ  hai  agar  to  kyā  hāsil
hayāt  soz-e-jigar  ke  sivā  kuchh  aur  nahīñ
urūs-e-lāla  munāsib  nahīñ  hai  mujh  se  hijāb
ki  maiñ  nasīm-e-sahar  ke  sivā  kuchh  aur  nahīñ
jise  kasād  samajhte  haiñ  tājirān-e-farañg
vo  shai  mata-e-hunar  ke  sivā  kuchh  aur  nahīñ
baḌā  karīm  hai  'iqbāl'-e-be-navā  lekin
atā-e-shola  sharar  ke  sivā  kuchh  aur  nahīñ