dil  soz  se  ḳhālī  hai  nigah  paak  nahīñ  hai
phir  is  meñ  ajab  kyā  ki  tū  bebāk  nahīñ  hai
hai  zauq-e-tajallī  bhī  isī  ḳhaak  meñ  pinhāñ
ġhāfil  tū  nirā  sāhib-e-idrāk  nahīñ  hai
vo  aañkh  ki  hai  surma-e-afrañg  se  raushan
purkār  o  suḳhan-sāz  hai  namnāk  nahīñ  hai
kyā  suufī  o  mullā  ko  ḳhabar  mere  junūñ  kī
un  kā  sar-e-dāman  bhī  abhī  chaak  nahīñ  hai
kab  tak  rahe  mahkūmi-e-anjum  meñ  mirī  ḳhaak
yā  maiñ  nahīñ  yā  gardish-e-aflāk  nahīñ  hai
bijlī  huuñ  nazar  koh  o  bayābāñ  pe  hai  merī
mere  liye  shāyāñ  ḳhas-o-ḳhāshāk  nahīñ  hai
aalam  hai  faqat  momin-e-jāñ-bāz  kī  mīrās
momin  nahīñ  jo  sāhib-e-laulāk  nahīñ  hai