kushāda  dast-e-karam  jab  vo  be-niyāz  kare
niyāz-mand  na  kyuuñ  ājizī  pe  naaz  kare
biThā  ke  arsh  pe  rakkhā  hai  tū  ne  ai  vaa.iz
ḳhudā  vo  kyā  hai  jo  bandoñ  se  ehtirāz  kare
mirī  nigāh  meñ  vo  riñd  hī  nahīñ  saaqī
jo  hoshiyārī  o  mastī  meñ  imtiyāz  kare
mudām  gosh-ba-dil  rah  ye  saaz  hai  aisā
jo  ho  shikasta  to  paidā  navā-e-rāz  kare
koī  ye  pūchhe  ki  vaa.iz  kā  kyā  bigaḌtā  hai
jo  be-amal  pe  bhī  rahmat  vo  be-niyāz  kare
suḳhan  meñ  soz  ilāhī  kahāñ  se  aatā  hai
ye  chiiz  vo  hai  ki  patthar  ko  bhī  gudāz  kare
tam.īz-e-lāla-o-gul  se  hai  nāla-e-bulbul
jahāñ  meñ  vā  na  koī  chashm-e-imtiyāz  kare
ġhurūr-e-zohd  ne  sikhlā  diyā  hai  vaa.iz  ko
ki  bandagān-e-ḳhudā  par  zabāñ  darāz  kare
havā  ho  aisī  ki  hindostāñ  se  ai  'iqbāl'
uḌā  ke  mujh  ko  ġhubār-e-rah-e-hijāz  kare