zamistānī  havā  meñ  garche  thī  shamshīr  kī  tezī
na  chhūTe  mujh  se  london  meñ  bhī  ādāb-e-sahar-ḳhezī
kahīñ  sarmāya-e-mahfil  thī  merī  garm-guftārī
kahīñ  sab  ko  pareshāñ  kar  ga.ī  merī  kam-āmezī
zamām-e-kār  agar  mazdūr  ke  hāthoñ  meñ  ho  phir  kyā
tarīq-e-koh-kan  meñ  bhī  vahī  hiile  haiñ  parvezī
jalāl-e-pādshāhī  ho  ki  jamhūrī  tamāshā  ho
judā  ho  diiñ  siyāsat  se  to  rah  jaatī  hai  chañgezī
savād-e-raumat-ul-kubrā  meñ  dillī  yaad  aatī  hai
vahī  ibrat  vahī  azmat  vahī  shān-e-dil-āvezī