yā  rab  ye  jahān-e-guzarāñ  ḳhuub  hai  lekin
kyuuñ  ḳhvār  haiñ  mardān-e-safā-kesh  o  hunar-mand
go  is  kī  ḳhudā.ī  meñ  mahājan  kā  bhī  hai  haath
duniyā  to  samajhtī  hai  farañgī  ko  ḳhudāvand
tū  barg-e-gayā  hai  na  vahī  ahl-e-ḳhirad  rā
o  kisht-e-gul-o-lāla  ba-baḳhshad  ba-ḳhare  chand
hāzir  haiñ  kalīsā  meñ  kabāb  o  mai-e-gulgūñ
masjid  meñ  dharā  kyā  hai  ba-juz  mauiza  o  pand
ahkām  tire  haq  haiñ  magar  apne  mufassir
tāvīl  se  qur.āñ  ko  banā  sakte  haiñ  pāzand
firdaus  jo  terā  hai  kisī  ne  nahīñ  dekhā
afrañg  kā  har  qarya  hai  firdaus  kī  mānind
muddat  se  hai  āvāra-e-aflāk  mirā  fikr
kar  de  ise  ab  chāñd  ke  ġhāroñ  meñ  nazar-band
fitrat  ne  mujhe  baḳhshe  haiñ  jauhar  malākūtī
ḳhākī  huuñ  magar  ḳhaak  se  rakhtā  nahīñ  paivand
darvesh-e-ḳhudā-mast  na  sharqī  hai  na  ġharbī
ghar  merā  na  dillī  na  safāhāñ  na  samarqand
kahtā  huuñ  vahī  baat  samajhtā  huuñ  jise  haq
ne  ābla-e-masjid  huuñ  na  tahzīb  kā  farzand
apne  bhī  ḳhafā  mujh  se  haiñ  begāne  bhī  nā-ḳhush
maiñ  zahr-e-halāhal  ko  kabhī  kah  na  sakā  qand
mushkil  hai  ik  banda-e-haq-bīn-o-haq-andesh
ḳhāshāk  ke  tode  ko  kahe  koh-e-damāvand
huuñ  ātish-e-namrūd  ke  sho.aloñ  meñ  bhī  ḳhāmosh
maiñ  banda-e-momin  huuñ  nahīñ  dāna-e-aspand
pur-soz  nazar-bāz  o  niko-bīn  o  kam  aarzū
āzād  o  giraftār  o  tahī  kiisa  o  ḳhursand
har  haal  meñ  merā  dil-e-be-qaid  hai  ḳhurram
kyā  chhīnegā  ġhunche  se  koī  zauq-e-shakar-ḳhand
chup  rah  na  sakā  hazrat-e-yazdāñ  meñ  bhī  'iqbāl'
kartā  koī  is  banda-e-gustāḳh  kā  muñh  band